har mine wale ko apna banaya nahi jaata,
jo dil mein bas jaate hain ek baar,
unhein zindagi bhar bhulaaya nahi jaata.
------------------------------------------------------------
Maza aata hai tumhe satane mein,
ruthe na koi toh maza kya hai manane mein,
ek tumhi se toh khushi hai zara si,
varna kya rakha hai is zalim zamaane mein.
--------------------------------------------------------------
Dil ka haal toh hamein batana hai,
gehraai mein toh hamein jaana hai,
hamein toh pyaar ki parwah hai par tumne hi na apna maana hai.
-----------------------------------------------------------------
Lamhe yeh sunhere kal saath ho na ho, kal mein aaj jaisi baat ho na ho,
yaado ke haseen lamhe dil mein rahenge,
tamaam umar chahe mulaqaat ho na ho.
-----------------------------------------------------------------
Hum agar aapse mil nahi paate,
aisa nahi ki aap yaad nahi aate,
maana ki is jahaan ke sabhi rishte nibhaaye nahi jaate
par jo bas jaate hain dil mein woh kabhi bhulaaye nahi jaate.
----------------------------------------------------------------
Jeena chahte hain magar zindagi raas nahi aati,
marna chahte hai magar maut paas nahi aati,
bahut udaas hain is zindagi se par aapki yaad bhi toh tadpaane se baaz nahi aati.
-----------------------------------------------------------------
Hum nazro se door hain, aankho se nahi, hum khwabo se door hain khayalo se nahi,
hum dil se door hain dhadkano se nahi, hum aapse door hain aapki yaado se nahi.
------------------------------------------------------------------
Apni toh mohabbat ki itni si kahaani hai, tuti hui kashti thehra hua paani hai,
ik phool kitaabo mein dum tod chuka hai,
magar kutch yaad nahi aata yeh kiski nishaani hai.
